S

Blog S

Showing posts with label S. Show all posts
Showing posts with label S. Show all posts

Sar bulandi ki rawayat

Sar bulandi ki rawayat, sir katanay say chali
Nabzay imaan teri nabzein, doub janay say chalien.
Nazr e deen jaan hi nahin, sab lakhtay jaan bhi kar diye
Reet yeh tujh say chalein, taray gharanay say chalein.
Tunay mani hee badal dalay Shikst o fat’ha kay
Rasm e hasti apni hasti ko mitanay say chalein.
Ghay say tujhko Karbala ki samt jata dekh ker
Abr utha sehra say bijli ashiyaanay say chali.
Aanay wala lamha lamha teri baiyat ker chuka
Baat teri az saray no har zamanay say chali.
Sir bulandi ki rawayat, sir katanay say chali
Nabzay imaan teri nabzein, doub janay say chalien.
Mein muhammad ka ghulam, Aal e Muhammad ka ghulam
Woh mohammad ka ghada, jo Ale Mohammad ka ghulam
Woh ghulaam e Mustafa, jo Aale Mohammad ka ghulam
Apni har tasveer seen aaina khanay say chali.
Ser bulandi ki rawayat, ser katane sey chali
Nabzay imaan teri nabzein, doub janay say chalien.
Sir Bulandi Ki Riwayat Sir Katany Say Chali.

Sultan e Karbala ko hamara salam ho

Sultan e Karbala ko hamara salam ho
Janan e Mustafa ko hamara salaam ho.
Abbas e namdaar hain zakhmoon say choor choor
Us paikar e riza ko hamara salaam ho.
Akbar say nojwaan bhi run mein huey shahid
Hum shaklay Mustafa ko hamara salam hoo.
Bhai bhateejay bhanjay sab ho gaye nisaar
Har lal e bay baha ko hamara salaam ho.
Asghar ki nanhi jaan pay lakhoon darood houn
Mazloom o bay khata ko hamara salaam ho.
Ho kar shaheed qoum ki kishti tyra gaye
Ummat kay nakhuda ko hamara salaam ho.
Nasir wilaye shah mein kehta hai bar baar
Mehman e Karbala ko hamara salaam ho.
Sultane Karbala Ko Hamara? Salam Ho!
Jaanaane Mustafa Ko hamara Salam Ho.

Subha Ha Taiba mein hui

Subha Ha Taiba mein hui bat’ta hai bara noor ka
Sadqa laynay noor ka aaya hai tara noor ka
Jo gadha dekho liye jata hai tora noor ka
Noor ki sarkar hai kiya is mein tora noor ka.
Mein gada tu badshah bhar day piyala noor ka
Noor din duna tera day daal sadqa noor ka.
Sham’a dil mishqaat tan sina zujaja noor ka
Teri surat kay liye aaya hai surah noor ka.
Teri naslay paak mein hai bacha bacha noor ka
Tu hai a’ainay noor tera sab gharana noor ka.
Noor o binte, noor zojay, noor o umme, noor o noor
Noore mutlaq ki kami zala hai ***lahma*** noor ka.
Nariyoon ka door tha dil jal raha tha noor ka
Tum ko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka.
Taj walay dekh ker tera imama noor ka
Sir jhukatay hain ilahi bol bala noor ka.
Chand jhuk jata jidhar ungli uthatay mehad mein
Kiya hee chalta tha isharoon per khiloona noor ka.
Aie Raza achay raza sachay Raza meethay Raza
Aie Raza murshad Raza piyaaray Raza meray Raza
Aie raza yeh ahmade noori ka faize noor hai
Ho gayi meri ghazal bhar ker qasida noor ka.

Sarkar Kay Dar Per Jaaoon

Sarkar Kay Dar Per Jaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye,
Taqdder Apni Chamkaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye
Jab Paish-e-nazar Ho Mere Minaar-o-gumbad Tere
Mein Ghash Kha Kar Gir Jaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye
Phir Zair-e-gumbad-e-khazra Ro Ro Kar Dast Basta
Sub Haal Mein Tujh To Sunaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye
Dil Ko Apnay Samjha Kar Deedar Ki Aas Dila Kar
Ro Ro Kar Mein So Jaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye
Woh Khoaab Mein Jalwa Dikhaein Aye Kaash Karam Farmayein
Mein Qadmon Mein Gir Jaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye
Hai Dil Ka Ubaid Ye Armaan Phir Ban Kar Un Ka Mehmaan
Darbar Mein Naat Sunaaoon Woh Waqt-e-mubarak Aaye.

Sachi Baat Sikhatay Ye Hain

sachi baat sikhatay ye hain
seedhi raah chalatay ye hain
naz-e-rooh mein aasani dain
kalma yaad dilatay ye hain
marqad mein bandon ko thpak kar
meethi neend sulaatay ye hain
qasr-e-dana tak kis ki rasaai
jaatay ye hain hain aatay ye hain
thanda thanda meetha meetha
peetay hum hain pilaatay ye hain
faiz-e-jaleel khaleel se poocho
aag mein bagh lagatay ye hain
apnay bharam se hum halkon ka
palla bhari banatay ye hain
laakh balayein karoron dushman
kon bachaye bachatay ye hain
apni bani hum aap bigaarein
kon banaye banaatay ye hain
sallim sallim ki dhaaras se
pul se paar lagatey ye hain
maan jab iklotay ko choray
aa aa keh k bulaatay ye hain
un k haath mein har kunji hai
malik-e-kul kehlatay ye hain
keh do raza se khush ho khush reh
muzda raza ka sunaatay ye hain.

Portfolio