B

Blog B

Showing posts with label B. Show all posts
Showing posts with label B. Show all posts

Bulalo Phir Mujhay Ae Shah e Behrobar

Meray ansoo bohat kimati hain,
Insay wabasta hai, unki yaadein,
Inki manzil hai khak e Madina,
Yeh gohar yoonhi kaisay luta doon.
Bulalo phir mujhay ey shahe bahrobar, Madinay main
Main phir rota huwa aaoon, teray dar par Madinay mein.
Mein pohunchoon koey jana mein, ghareeban chak seena chak
Gira day kash mujhko showk tarpa kar Madinay mein.
Mein unka deewana, Madinay mein bari shaan gaya
Chak dil, chak jigar, Chak ghareeban gaya.
Madinay jaaney waalo jaao jaao Fi Aman’illah
Kabi toh apna bhi lag jaey ga bistar Madinay main.
Salaam-e-showq kehna haajio meraa bhi ro ro kar
Tumhe aae nazar jab roza e anwar Madinay mein.
Zahe muqaddar huzur-e-haq say salaam aaya payam aaya
Jhukao nazreen bichao palkeen adab ka aala maqam aaya.
Yeh rahe-haq hai sambhal ke chalna yahan hai manzil qadam qadam par
Pohanchna dar par to kehna aaqa salaam lijiye ghulam aaya.
Yeh kehna aaqa bohat se aashiq taraptey se choor aaya hoon mein
Bulawe ke muntazir hain lekin na subah aaya na sham aaya.
Payame showk letay jao mera kafilay walo
Sunaana dastaney gham meri ro kar Madinay main.
Paye tableegay sunnat Tu jahan rakay maghar aae kash
Main khawaboon mein puhanchta hee rahoon aqsar Madinay mein.
Madina is liye Attar jaan-o-dil say hai pyara
Key rehtay hain meray Aaqa, meray dil bar Madinay main.
Na dowlat dey nah showhrat dey, mujhay bas yeh sahaadat dey
Teray kadmo main marjaoon, main ro ro kar Madinay main.
Meraa gham bhi toh dekho, main paraa hoo duur Tayba sey
Sukoon aey’ga bas meraa dil-e-muztar Madinay main.
Wahan ik saas miljaye yehi hai zeest ka haasil
Vo kismet ka dhani hao jo gaya dam bhar Madiney mein.
Chalo chaukat pe unki rak ke sar qurbaan ho jaye
Hayat e jaan vidaani paayengey mar kar Madiney mein.
Madina is liye Attar jaan-o-diil sey hai pyaara
Key rehtay hain meray Aqa meray diil bar Madinay main.

Baat Jo Kijiye Aur Jab Kijiye

Baat jo kijiye or jab kijiye,
Saath mein Zikr-e-Mehboob kijiye.
Chahtay ho milay zoq ansu bahain,
lab baaton say band apnay lub kijiye.
Loh woh minar-o-gumbad nazar aa gaye,
Ab Salam arz sub ba-adab kijiye.
Subz gunbad kay saaye talay hain kharay,
Khoob taqdeer par rashk aab kijiye.
Woh nawaazein gay khali na lotaayein gay,
Unsay hajaat arz apni sub kijiye.
Saath mein zikr-e-Mehboob kijiye.
Dar pe aakar, bhikari phirein namurad,
Yeh gawara bhala aap kab kijiye.
Ru baroo jaalion kay kharay hain Hazoor,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye.
Aap kay dar kay hotay kidhar jaayein hum,
Ab ataa bheek Shah-e-Arab kijiye
Dijiye hum ko khairat deedar ki,
Aab karam Ya Nabi behr-e-Rab kijiye.
Mar raha hoon gunahoon kay amraaz say,
Ek nazar Janib-e-Jaan balab kijiye.
Qalb-e-tareek par rakh kay apna qadam,
Chaandna mere Mah-e-Arab kijiye.
Sun kay faryad imdaad ko aa gaye,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.
Unkay nisar, koi kaisay bhi ranj mein ho,
Jab Yaad aagaye hain, sub gham bhula diye hain,
Yaad Ubaid-e-Raza un ko jab kijiye.
Walah woh sun lein gay, faryad ko pohnchein gay,
Itna bhi to ho koi, jo aah karay dil say,
Yaad Ubaid-e-Raza unko jab kijiye.
Baat jo kijiye Aur jab kijiye,
Saath main Zikr-e-Mehboob kijiye.

Bahar e Jaan Fiza Tum Ho

Bahar e Jaan Fiza Tum (S.A.W) Ho, Naseem e Gulsitan Tum (S.A.W) Ho
Bahare Baagh e Rizwan Tum (S.A.W) say hay Zaibay Jina Tum (S.A.W) Ho.
Khuda Ki Saltanat Ka Do Jahan Mein Kon Dhula Hai
Tum (S.A.W) Hi Tum (S.A.W) Ho, Tum (S.A.W) Hi Tum (S.A.W) Ho
Yahan Tum (S.A.W) Ho Wahan Tum (S.A.W) Ho.
Haqeeqat Say Tumhari (S.A.W) Juzz Khuda Aur Kon Waqif Hai
Kahe to Kiya Kahe Koi Chuni Tum (S.A.W) Ho Chuna Tum (S.A.W) Ho.
Kuja Hum khak uftada kahan Tum (S.A.W) Aye Shahe Waala
Agar Misle zameen Hum hain To Misle Asmaan Tum (S.A.W) Ho.
Ye Kiya Meinay kaha Misle Sama Tum (S.A.W) Ho Ma’azAllah
Munazza misl se bartar ze har wehmo Gumaan Tum (S.A.W) Ho.

Main Bhoola Aapki (S.A.W) Rif’at Se Nisbat hi Hamain Kya Hai
Woh Kehne bhar ki Nisbat Thi Kahan Hum Hain Kahan Tum (S.A.W) Ho.
Humain Umeed hai Roz e Qiyamat Unki (S.A.W) Rehmat Say
Ke Farma’ain Idhar Aao na Mayoos az Jina Tum Ho.
Sitam Karo siyah karo Khata karo jafa karo
Humaray (S.A.W) Daman e Rehmat mein Aajao kahan Tum Ho.
Tumharay (S.A.W) hotay satay dardo dukh Kise kahoon Pyare
Shafee ay aasiyan Tum (S.A.W) Ho Wakeele mujriman Tum (S.A.W) Ho.
Riyazat ke yehi din hain budhapay mein kahan himmat
Jo kuch karna hai abhi karlo abhi Noori jawan Tum Ho.
Faqat Nisbat Ka, Jaisay hoon Haqeeqi Noori ho jaaoon
Ke Mujhe jo dekhe keh uthay Miyan Noori Miyan Tum Ho.

Portfolio