M

Blog M

Showing posts with label M. Show all posts
Showing posts with label M. Show all posts

Mere Ghaus Piya Jilani

Choot ti hai tou choote duniya
Ghaus ka Daaman na chorenghe
Apne galle mein Ghaus ka patta
Ghaus ka daaman na chourenghe

Ghaus ke Dar par umar guzaari
Ghaus ke Dar ke hum hain bhikaari
Iss khoote se khud kou baanda
Ghaus ka daaman na chourenghe

Waaliyoun ne di oonkou salaami
Abdaaloun ne ki hai gulaami
Ooncha rahe gha Oonka jhanda
Ghaus ka daaman na chourenghe

Ghaus ka daaman kaise chourein
Jism aur rooh ka naata oonse
Oonse thehra Deen ka rishta
Ghaus ka daaman na chourenghe

Mere Ghaus Piya Jilani
Mere mann kou deh subhani

Mere Aqa Nigahe Karam

Bheek ‘ata ae Nabi (SAW) Muhatasham ho,
Meray Aaqa (SAW) nigah e karam ho.
Deed ka hun talab gaar Aqa (SAW),
hun agar che gunah gaar Aaka (SAW),
Ik jhalak apni Sarkar Aaqa (SAW),
Aab dikha do na ik baar Aka (SAW),
Iss gunah gaar par bhi karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigahe karam ho.
Choot jaye gunahon ki aadat,
Rab (SWT) ki dil se karoon mein ibadat,
Aisi kar de tu nazr e inayat,
Bas tere gham main maah e risalat,
Dil tarapta rahe aankh nam ho,
Meray Aaqa (SAW) nigahe karam ho.
Hai tamanna meri mere dilbar,
Dekh lun kash har saal aa kar,
Teri masjid kay mehraab o minbar,
Aur roze ka pur kaif manzar,
Phir bayan haal ba chashm e nam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.
Yaad aata hai mujh ko woh manzar,
Jab chala tha Madine se dilbar,
Muztarib qalb tha aankh thi tar,
Us ghari ‘arz ye thi zabaan par,
Baar baar aaoon aisa karam ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.
Arz karta Obaid e Raza hai,
Jo tere dar ka adna gada hai,
Mushkilon mein shaha ye ghira hai,
Tujh se imdad yeh chahta hai,
Door iska har ik runj o ghum ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.
Hai yaqeen ‘arz meri suno ge,
Laaj Lajpaal meri rakho ge,
Rahmatein khaas apni karo ge,
Aaj daman mera bhi bharo ge,
Ya Nabi (SAW) taajdaar e haram ho,
Mere Aaqa (SAW) nigah e karam ho.

Mein Jashn-e-Aamad-e-Sarkar

mein jashn-e-aamad-e-sarkar yoon manaonga
k jhoom jhoom k naat-e-nabi sunaonga
wiladat-e-shah-e-deen ka mahina aaya hai
gali makaan dukaan aaj sub sunaonga
juloos-e-jashn-e-wiladat ehtiraam k sath
qadam qadam pe duroodon k gul khilaonga
utha k haath mein parcham nabi ki azmat ka
mein marhaba ki sadaaein lagaye jaonga
urooj mujh ko mila naat-e-mustafa k tufail
karam se un k bulandi pe or jaonga
hai sar pe taaj mere nisbat-e-raza ka ubaid
raza k naam ka sadqa hamesha khaonga.

Maangnay Ka Maza Hai Dar-e-Yaar Per

Maangnay ka maza hai Dar-e-Yaar per,
Har talab per ataa hai Dar-e-Yaar par.
Kis cheez ki kami hai, Mola teri gali mein,
Dunya teri gali mein, Uqba teri gali mein,
Jholiyaan sab ki bhari jati hain,
Denay wali naza nahin aata.
Bay talab mill raha hai, Dar-e-Yaar par,
Jis ko jo mila, unsay milla,
Bati hain konain mein neimat Rasoollah (SAW) ki,
Manganay walo humko to yoon chahiye,
Kay mangna kisi say bhi kyon chahiye,
Kon deta hai denay ko moun chahiye,
Denay wala hai sacha hamara Nabi (SAW).

Kon lab kholta hai Dar-e-Yaar per,
Bay talab mil raha hai Dar-e-Yaar per.
Ab tangiye dama pay na ja, aur bhi kuch mang,
Hai aaj woh mail Data aur bhi kuch mang,
Sarkar (SAW) ka dar hai, dare shaha to nahin hai,
Jo mang liye, mang liya, aur bhi kuch mang.

Maang un say nahi, jin kay lab per nahi,
Jo bhi maanga mila hai Dar-e-Yaar per,
Wah kiya judo karam hai Shah-e-Bat’ha tera,
Kay nahin sunta he nahin mangnay wala tera,
Maang un say nahi, jin kay lab per nahi,
Jo bhi maanga mila hai Dar-e-Yaar per.

Baksh day ya Khuda (SWT), sun kay farmaan tera,
Aaj hazir gada hai Dar-e-Yaar per.
Baksh dey ya Khuda (SWT), sun key farman tera,
Aaj hazir gada hai Dar-e-Yaar per.
Kyun na maangay ,b>Ubaid un kar dar per qaza,
Jee gaya jo mara hai Dar-e-Yaar per.
Mangnay Ka Maza Hei Dar e Yaar Par,
Har talab per ataa hai Dar-e-Yaar par.

Main Madinay Chala

Main madinay chala, mein Madinay chala,
Phir karam ho gaya main Madinay chala.
Kaif sa cha gaya main madinay chala,
Jhoomta jhoomta main madinay chala.
Mere Aaqa ka darr hoga paish-e-nazar,
Chahiye aur kya main Madine chala.
Darkano tumhi kaho waqt woh kaisa hoga,
Samanay ankhon kay jab gunbad-e-sabz ho ga.

Gumbad-e-sabz par jab paray gi nazar,
Kya suroor aega main Madinay chala.
Jab gumbad-e-khizra pe woh, pehli nazar gayi,
Aankhon kay raastay meray dil mein uttar gayi.
Sabz gunbad ka noor zang kar day ga dur,
Paye ga dil jila, main Madinay chala.
Ashk thamtay nahi, paon jamtay nahi,
Larkharaata hua main madinay chala.
Mere Siddique Umar ho salam aap par,
Aur rehmat sadaa main Madinay chala.
Woh uhod ki zammen jis k ander makeen,
Mere hamza piya main Madinay chala.
Unka gham chasham-e-tarr aur sauz-e-jigar,
Ab tou dai dai Khuda (SWT) main Madinay chala.
Saaqia mai pila main madinay chala,
Mast-o-bekhud bana main Madinay chala.
Ae shajar a hajar tum bhi shams-o-qamar,
Daikho daikho zarra main Madinay chala.
Daikh taaray mujhe, yeh nazaray mujhe,
Tum bhi daikho zarra main Madinay chala.
Rooh-e-muztar theher tu nikalna udher,
Itni jaldi bhi kya main Madinay chala.
Haath uth’tay rahain mujhko daitay rahain,
Woh talab se siwa main Madinay chala.
Noor-e-haq k Hazoor apnay saray kasoor,
Bakhswanay chala main Madinay chala.
Woh Bakee ki zameen jis k ander makeen,
Mere Madani Zia main Madinay chala.
Un k minaar par jab paray gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.
Minbar-e-noor par jab uthay gi nazar,
Kya saroor aega main Madinay chala.
Dard-e-ulfat milay zauq barhnay lagay,
Jab chalay qaafila main Madinay chala.
Kya karega idher baandh rakht-e-safar,
Chal obaid-e-raza main Madinay chala.
Kya yeh tu ne kaha a Ubaid-e-Raza,
Soch tou kuch zarra main Madinay chala.
Main tou bus yoon hi tha main ki aukaat kya,
Qaafia yeh mila main Madinay chala.
Lutf tou jab milay mujh se murshid kahain,
Chal Obaid-e-Raza main Madinay chala.

Portfolio