R

Blog R

Showing posts with label R. Show all posts
Showing posts with label R. Show all posts

Rang Day Moula

Mola Mola Mola Mola Mola mujhe rung day mujhay rung day Mola Mola
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
tu Kareem hai tu Raheem hai
teri zaat sub se Azeem hai
nahi tujh sa koi bhi doosra
tu Khabeer hai tu Aleem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
ye lataafatein ye inayatein
hain tere karam ki wazahatein
jo chaman mein hai to naseem hai
jo gulo’n mein hai to shameem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
tu ba’eed bhi tu qareeb bhi
tu muhib bhi hai tu Habib bhi
tu hararat-e-dil-e-aashiqan
tu nishan-e-aql-e-saleem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
tu hai raaz zaat-o-sifaat ka
tu hai rung bazm-e-hayaat ka
kaheen shaan-e-khilq-e-muhammadi
kaheen husn-e-lutf-e-kaleem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
tu Habeeb bhi tu Hafeez bhi
tu Raheem bhi tu Kareem hai
tu Baseer bhi tu Naseer bhi
tu Kabeer hai tu Haleem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
tu mere khayal k gulshano
mein basa misal-e-shameem hai
tu mere yaqeen ki wus’aton
mein khiram-e-moj-e-naseem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day
hai dua-e-bismil-e-neem jaan
k meri khataon ko bakhsh day
hai mujhe to tera he aasra
tu Haleem hai tu Raheem hai
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe rung day mujhay rung day
mujhe apnay rung mein rung day.

Rabbana Ya Rabbana

Link for Translation of these lyrics:
Ya Ilaahi Har Jaga Teri Ataa Ka Saath Ho Lyrics with English Translation
Chorus:
Rabbana Ya Rabbana, Rabana Ya Rabana,
Rabana Ya Rabana, Rabbana Ya Rabbana.
Chorus
Ya Elahi Har Jagha Teri Ataa ka Saath ho,
Jab Paray Mushkil Shahe-Mushkil Kushaa ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Bhool Jaaon Naz’aa ki Takleef Ko,
Shaadi yay-Deedar-e- Husn-e-Mustafa Ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Gor-e-Teera Ki Jab Aaaye Sakht Raat,
Unkay pyaaray Mon ki Subh-e-Jaan fiza ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Naama-e-Amaal Jab Khulne Lage,
Aib Posh-e-Khal Saattar-e-Khata ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Garmiye Mehshar say Jab Bharke Badan,
Daman-e-Mehboob ki Thandi Hawa ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Zubaan Bahar Aaye Pyaas say,
Sahib-e-Kothar Jood-o-Sakha ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Hisab-e-Khanda-e-Be Jaa Rulaye,
Chashm-e-Giryan-e-Shafi-e-Murtaja ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Jab par-e-Mehshar Main Shor-e-Daro Geer,
Aman Dene Wale Pyaare Paishwa ka Saath ho.
Chorus
Ya Elahi Sard Mori Par Ho Jab Khursheed-E-Hasr,
Sayyed-e-Be Saaya ke Zille Liwa ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Chal-e-Tareek Rah-e-Pul Sarat,
Aftab-e-Hashmi Noor Ul Huda ka Saath Ho.
Chorus
Ya Elahi Jab Sar-e-Shamsheer Par Chalna Pare,
Rabbi Salllim Kehne Wale Gham Zada ka Saath ho.
Chorus
Ya ELahi Jo Duaein Naik Hum Tujhse Karain,
Qudsiyon ke Lab se Aaami Raabana ka Saath ho.
Chorus
Ya Ilaahi Jub Raza Khaab-e-Giraa Se Sar Uthaa’e,
Daulat-e-Bedaar Ishk-e-Mustafa Ka Saath Ho.
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana
Rabbana Ya Rabbana Rabbana Ya Rabbana

Raastein Saaf Bataein

Raasatei Saaf batatay hein kay app aatay hain
Hum to mehfil ko sajatay hain kay app atay hain.
Ahl-e-dil geet yeh gatay hain kay App (SAW) aatay hein
Aankh rahoon mein bichatay hain kay Aap (SAW) atay hain.
Hum to mehfil ko sajatay hain kay app atay hain…
Unki aamad kay pyami hain sabah kay jhonkay
Phool shakhoon ko hilatay hain kay app aatay hain.
Hum to mehfil ko sajatay hain kay app atay hain…
Unkay jalwoon say nikharnay lagi dil ki ronak
Meri taqdeer jagatay hein kay app atay hein.
Hum to mehfil ko sajatay hain kay app atay hain…
Marhaba salle ala ki hain sadaein har soun
Youme milad manatay hein kay app aatay hein.
Hum to mehfil ko sajatay hain kay app atay hain…
Chand taroon mein Nasir aaj bari hal chal hai
Hum ko aasar batatay hein key ap aatay hain.
Hum to mehfil ko sajatay hain kay app atay hain.
Rasatay Saaf batatay hein kay app aatay hain.

Portfolio