D

Blog D

Showing posts with label D. Show all posts
Showing posts with label D. Show all posts

Dil Say Hazar Bar Madina Tujhay Salam

Dil Say Hazar Bar Madina Tujhay Salam
Aaqa Ka Tu Dayar Madina Tujhay Salaam
Lareib Kharay Dashtay Madina Kay Husn Par
Qurban Lalazaar Madina Tujhay Salaam
Tujhse Mitti Hamesha Meri Bekrariyaan
Tu Dil Ka Hai Qaraar Madina Tujhe Salaam
Tutay Mera Joh Daam To Madina Ho Samnay
Yeh Dil Ki Hai Pukaar Madinah Tujhay Salaam
Teiba Say Duur Keisay Ujagar Rahay Ga Ab
Mushkil Hai Intizaar Madina Tujhay Salaam
Dil Se Hazaar Baar Madinah Tujhe Salaam
Aaqa Ka Tu Dayar Madina Tujhay Salaam.

Dil Madinah Mera Bana Aaqa

Dil madinah mera bana Aaqa (SAW),
Ho mujhe chashm-e-nam ataa Aaqa (SAW).
Ab huzoori ho, dur doori ho,
Phir madinay mujhe bula Aaqa (SAW).
Maut kay baad, bhi suroor aaye,
Aisi ulfat ki mai pila Aaqa (SAW).
Mujh ko Siddiq (Radi Allahu Anhu) ki sadaqat ka,
Koi zara Tu (SAW) kar ataa Aaqa (SAW).
Kash roay Khashiyat-e-Rab say,
Behr-e-Farooq (Radi Allah Anhu) dil mera Aaka (SAW).
Behr-e-Usman (Radi Allah Anhu) ba haya mujh ko,
Dijiye dolat-e-haya Aqa (SAW).
Behr-e-Mola Ali (Alaihis Salaam) mujhe ghalba,
Dushmano per tu kar ataa Aaka (SAW).
Az paye Fatima (Radi Allahu Anha) mujhe apnay,
Ishq mein har ghari rula Aaka (SAW).
Behr-e-Hasnain (Radi Allahu Anhu) day panah mujh ko,
Paikar-e-sabr or riza Aaqa (SAW).
Mujh ko sadqay mein Bu-Hanifa (Radi Allah Anhu) kay,
Aalim-e-baa amal bana Aaqa (SAW).
Waasta tujh ko Ghous-e-Azam (Radi Allah Anhu) ka,
Naik seerat mujhe bana Aaqa (SAW).
Waasta tujh ko Alahazrat (Radi Allah Anho) ka,
Tu mujhe muttaqi bana Aaqa (SAW).
Mere ahlo-ayaal ore mujh say,
Door ho jaye har bala Aaqa (SAW).
Muskura kar Ubaid say keh do,
Tu mera banda mein tera Aaqa (SAW).

Portfolio