I

Blog I

Showing posts with label I. Show all posts
Showing posts with label I. Show all posts

Ishq Kay Rang Mein Rang Jao Mere Yaar

Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa Guhar baar x3
Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani aur kahan hamse gunahgaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Aarzoo ye he ke ho qualb muattar wo mutahhar wo munawwar wo mujalla wo musaffa durehaalaa jo nazar aae kahin jalwaae roue shahe abraar x2
Jin ke qadmon ki chamak chaand sitaaron me nazar aae jidhar se wo guzar jaae wohi raah chamak jae damak jae mahak jae bane rawnaque gulzaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Soung loun khushbue geisoue Muhammad wo siya zulf nahin jis ke muquaabil ye banafsha ye suyunti ye chambeli ye gule laalaa o champaa ka nikhaar x2
Jis ki nakhat pe hein qurbaan gulo bargo saman naafaae aahoue khutan bade chaman buwe chaman naaze chaman noure chaman range chaman saaraa chaman zaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Ik shahanshah ne bakhshe jo samarkand o bukhaaraa kissi mahboub ke rukhsaar ke til par magar eh Sayyade Aali teri namos teri azmat par x2
Eh Rassoule Madani eik nahin laakhon hein qurbaan gahe ishq ke har kuchao bazaar me sar apnaa hatheli pe liye phirte hein karne ko nisaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Aap ke zikr me hein dam masaalaa sare huda kawne arab naghma nigaaraane ajam shawkate alfaaz adab azmate kirtaas o qalam baate sabaa mohje naseen x2
Dahne bulbule shiri lahane umriyo toti shafe mahtaab sitaare malak o hour jinaa jin ki nawahon me duroodon ka hisaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Warafahnaa lakazikrak ki iss aayaa e tawseef ki tawseef me tafseer me tashreekh me tawzikh me tanween me har ehd ki shaamil he zabaan.x2
Labe Hassan o Ravaahaa wo labe Fatemah Zahraa wo Ali aabide bimaarBusairi dahane ourtiyo jaame labe sahti o razaa sab sar shaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Ishq ke rang me rang jaae muhajir ho ke pakhtoun balonchi ho ke punjabi o sindhi kissi khitte ki kabile ki zaban isse nahin koyi sarokaar x2
Jaamae ishqe Mohammad jo pehenletaa he har haar ko wo phool banaa letaa he dunyaa ko jhukaaletaa he kartaa he zamaane ko muhabbat ka shikaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Ye muhaajir ki he saf aur ye punjaabi ki pakhtoun ki sindhi ki balonchi ki juda par ke dikhao to kissi shehr ki masjid me kabhi eisi namaz x2
Harame kaabaa me arafaat ke maidaan me ya Rawza-e-Sarkaar pe kyun shaane milaate wahan karte nahin rang ka aur nasl katum apni shoumaarx2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Yaa Nabi ! Aap ka ye adbi sanaakhwane dare rahmat ka gada detaa he dar dar ye sadaa detaa he Aap se chaahat ka salaa apni zaban me taasir x2
Soun ke sab ahle chaman ous ka sukhan oun ko bhi aajaae hayaa sar ho nidaamat se jhukaa aur nazar dekhe wo islaaf ki oulfat ka nazaaraa eik baar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
Eh Aadeeb! Ab youn hi alfaaz ke ambaar me ham doubte reh jaein magar haqqe sanaa goyi adaa phir bhi naa kar paein ye jazbaat o zabaan o kalam o fikr o khayaal x2
Oun ki midhat to Malaaik ka wazifaa he Sahaaba ka tariqaa heibaadat ka saleeqaa he ye khaaliq ka pasandeeda he Quraan ka he iss me shyaar x2
Ishq ke rang me rang jao mere yaar
Ishq ke rang me rang jaein jab afkaar to khulte hein ghulaamon pe wo asraar ke rehte hein wo tawseef sanaae shahe abraar me har lehzaa guharbaar .Warna Wo Sayyade Aale Nasabi han Wohi Ummi Laquabi Hashmi o Motalabi o Arabi o Farashi o Madani o Arabi o Madani aur kahan hamse gunahgaar
Ishq ke rang me rang jao mere yaar x2
 

Imdad Kun

Azaranj wa gham azad kun,
Dar deeno dunya shaad kun (x2)
Ya Ghaus e Azam dastagheer (x2)
Imdad kun Imdad kun, imdad kun,
Tere haath mein haath maine diya hai (x2)
Teray haath hai laaj Ya Ghaus e Azam
Nikala hai pehlay to doobay huoon ko (x2)
Aur ab doobtoon ko bacha Ghaus e Azam
Bhawar mein phansa hai safina hamara (x2)
Bacha Ghaus e Azam, Bacha Ghaus e Azam
Kasam hai ke mushkil ko mushkil na paya (x2)
Kaha hum nay jis waqt Ya Ghaus e Azam
Mureedoon ko khatra nahin bahr e ghum say (x2)
Kay beray ke hain na khuda Ghaus e Azam
Kahein kis say jakar Hassan apne dil ki (x2)
Sunne koun teray siwa Ghaus e Azam
Piro ke aap pir hai ya Ghaus al madad (x4)
Ahle saffa ke meer hai ya Ghaus al madad
Ranjo alam rangir hai ya Ghaus al madad (x4)
Hum aaj ko wasir hai ya ghaus al madad
Hum kaise jee rahe hai ke tum se kya kahe
Hum hai alaml neer hai ya Ghaus al madad
Teer nazar se peyr hai saare alam ke pir (x2)
Kya yeh alam ke deer hai ya Ghaus al madad
Kis dil se ho bayaan beydaade zaalimaa (x2)
Z aalim bare shareer hai ya Ghaus al madad (x2)
Ikhfa shararashar y a Ghaus al amar (x2)
Shar ke sharar khatir hai ya Ghaus al mada
Tere hi haat laaj hai ya Pir e dastagheer (x2)
Hum to tujh se dastagheer hai ya Ghaus al madad (x2)
Sadqah rasul paak ka joli me daal do (x2)
Hum Qadri fakir hai ya Ghaus al madad
Ahle saffa ne paayi tum se rahe safaa (x2)
Sab tum se mustaghir hai ya Ghaus al madad(x2)
Dil ki sunaaye akhdar dil ki zabaan mai(x2)
Kehte hai yai behtarir hai ya Ghaus al madad

Idhar Bhi Nigaahe Karam Ghous-e-Azam

Idhar bhi nigaahay karam Ghous-e-Azam,
Karo door ranj-o-alam Ghous-e-Azam.
Ghira hoon mein har samt se ranj-o-ghum mein,
khudara karam, kar karam, Ghous-e-Azam.
Wah kiya martaba hai suay bala tera,
Unchay unchoon kay saroon say qadam aala tera,
Jo wali qabl thay baad huey ya houn gay,
Sub adab rakhtay hain dil mein meray aaqa tera,
Sar bhala kya koi janay kay hai kaisa tera,
Aulia mertay hain aakay woh hai talva tera.
Woh rutba tera hai kay jitnay wali hain,
Sabhi tere zair-e-qadam Ghous-e-Azam.
Hai gardan mein teri ghulami ka patta,
Tujhi se hai mera bharam Ghous-e-Azam.
Tera hoon mein tera mere is kahe ka,
Sar-e-hashr rakhna bharam Ghous-e-Azam.
Madinay se najdi bala ko nikalo,
Karo un kay sar ko qalam Ghous-e-Azam.
Mera har maraz door ho jaye piyaare
Karo aisa aakar k dam Ghous-e-Azam.
Mere chaand mera muqaddar sanwaaro,
Bohot ho gaye paich-o-ghum Ghous-e-Azam.
Mujhe khwaab mein aa ke jalwa dikha do,
Karo aaj ki shab karam Ghous-e-Azam.
Nazar jab uthaaoon nazar aaye mujh ko,
Madinay ka dilkash haram Ghous-e-Azam.
Jila paaye ga dil Ubaid-e-Raza ka,
Zara rakh do apna qadam Ghous-e-Azam.

Ilahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai

Ilahi madad kar, madad ki ghari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.
Mere tan pay ghaflat ki chaadar pari hai,
Nahoosat gunaahon ki chaei hui hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Yahi baat hum nay barhon say suni hai,
Na ho banagi gar to kia zindagi hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Ae abr-e-karam aa baras ja, baras ja,
Baras ja, baras ja, baras ja, baras ja,
Ajab aag isyaan ki mujh mein lagi hai,
Gunahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Nahi pass husn-e-amal meray Mola,
Nazar meri tere karam per lagi hai,
Gunahoon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Ubaid-e-Raza naikyon say hai khali,
Gunaahon mein hasil ise bartari hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Lab-e-Mustafa say khudaya suna day,
Ubaid-e-Raza naar se tu bari hai
Elahi Madad Kar Madad Ki Ghari Hai,
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai.
Ilahi madad kar, madad ki ghari hai.
Gunaahon kay darya mein kashti phansi hai,
Madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai, madad ki ghari hai.

Portfolio